"Umeed, Imaan aur Mohabbat”
♥Bismillah ♥
Pehle umeed phir umeed se imaan aur imaan se mohabbat.
Ye toh insaan fitrat hai ki umeed phle laga lena or jb umeed pori na ho toh bebas or naumeed hoke mayoos hona wo mayoosi jo ke kufr hai lekin phir baat jab imaan ki ati hai us se Muhabbat ki ati hai toh umeede koi mayne nahi rakhti....
Kahin parha tha ke muhabbat insan ko Khuda tak lejati hai- na mile tab bhi, mil jaye tab bhi. Lekin ye na bataya ke jab apni khud gharz se khud gharz mohabbaton mai bhi Khuda nazar anay lage, tou samajh jao ke khalqat nahi, Khaliq se dil jorr liya hai.
Aur jb khaliq se Muhabbat hojati hai toh is duniya jahan ki Muhabbat raas nahi ati Fark nahi parta ki kon apko chahta hai, kon pasand karta hai kon napasand!
Kaaba ke darwazay pe bethe hum, ankhen kia poora wujood ashkbaar! Aur wujood ke har zarre se aik hi naam ki awaz aye, goya zindagi dour khari mazak urra rahi ho, ke bolo! Maang lo usay? Is se ziada Khuda ke aur kia kareeb hona? Lekin zaat aur zaban ne wujood ki aik na suni. Wohi multazim, wohi ansoo, wohi hum. Par naam na liya. Keh diya Khuda se ke jo Apko behtareen lagay wo ata karden. Ab Temporary cheezon ka kia? Koi farq nahi parta.
Voh karta hai mujhse Muhabbat jiske hukam se pori duniya chalti hai.
Shayad dil mai mohabbat Khuda hi daalta hai isi liye ehsas hota hai ke agar Khuda chahe tou aik nahi, das baar mohabbat chor den. Apne toote huay tukron aur jurri hui izzat ko le ke wahin ja bethen. Usi ke dar pe. Aur phir ro ro ke kahen, “sirf Allah, sirf Allah, sirf Allah!” Ab koi bulaaye zindagi ko tou hum bhi ankhon mai ankhen daal kar poochen, ke dekh, ay haqeer o na cheez, dekh! Yehi hai na wo imaan jiska tu ne imtehan lena tha? Ab jis imaan ki bina par hum saari dunya mai naak charhaye phirte hain, dekhen bhi tou sahi ke kia hai us imaan ki taaqat?!
Jab mohabbat sachi hoti hai tou Khuda se dour nahi le jati. Khuda hi ki taraf se tou dil mai utri hoti hai, kabhi azmaish tou kabhi sukoonn ban kar. Tou le le tu imtehan, jitna lena hai. Dekh lena, jeet hamesha imaan ki hi hogi. Chahe hanste muskurate ya kaleja kaat kar, hum imaan ko nahi haarne denge.
Ab zindagi hi nahi, mohabbat bhi dekhe gi, ke mohabbat ki kese jati hai.
Wajood hi nhi pori zaat bolegi tu kar Muhabbat kar.. tu Muhabbat kar Khuda se Alaam e do jahan k Malik se kar
Zaat e Parwardeegar e Alaam jo Na mangne per bhi nawaaz deta hai Us paak zaat se kar
-Queenรธ ๐ผ
Pic- Mine own @hoor_bintesayyed
Written- own @hoorsdairy
-Post editing- @aesthetic_queeno_art
Do like share nd comments with ur name
JazakAllah ul khayra
Thanks for Reading
Allah Hafiz o Nigehbaan
Cee ya'all till next time๐✌️
Dua needed!
Allah Nigehbaan๐
Comments
Post a Comment
BinteSayyed ๐ค