Aye Insaan tu jaan ley! O man know this! Part-2



 



Magar wo ye sab nahi karta… Kabhi tu ne iski waja jaani?

Aisa nahi ke tu Uske azaab ke qaabil nahi. Aisa nahi ke tu ne gunaah se khud ko paak rakha hai.
Aisa nahi ke tu uski banayi hui hudood Nhi toorta
Aisa hargiz nahi ke tu Uski zaroorat hai. Uski tou koi zaroorat nahi, teri kia auqaat?

Tere ashraf-ul-makhlooqat hone ne tujhe intekhaab tou diya par shayad ab tera zameer bhi rota hai ke is intekhaab se acha toh bay-zubaan, bay-aqal hona tha- jis neymat ne tujh ko Allah se dour kiya tou us neymat ka wujood hi kyun kar hua?

Toh ab jaan ley.

Jaan ke teri zaat ab tak kyun qayim hai. Jaan! Jaan ke tere hone ki waahid waja,
ALLAH ki Mohabbat hai.

Jaan ley, ke Wo tujhse pyaar na karta, tou teri auqaat bhi rait ke aik zarre se barh ke nahi.

Par Wo tujhse pyaar kyun karta hai?

Jab tere saare ganday khayalat o harkaat se waqif hai tou kese tujhe teri maa se bhi kayi gunah ziada chahta hai?

Kyun ke tere paas Tauba hai. 

Ab di toh ye bhi Us hi zaat ne. Par saath mai is ko apnaane ka intekhaab bhi diya hai. Jo tu ne khud karna hai.

Aur is intekhaab ko karne ki hidayat bhi Wohi de ga, bas tu ne uski chah ko sambhaal kar rakhna hai.Q ki Hidayat bhi usi ko naseeb hoti hai jo dil se chahatร  hai Hidayat ki bheekh mangta hai duaain karta hai

Us chah ko sambhalnay ka khayal bhi Wohi dega. Phir akhir kia bach gaya tujh mai?

Tu maang! 

Tere pas dua hai. Aur dua se tou Qadr badli jaati hai. Tou maang; ke Us ka khazaana kabhi kam nahi hota.
Aur Dua b apni awkat ke hisaab se nahi balki apney Khuda ki Shaan dekh kar maang.
Dua bhi akhir Wo hi sunay ga…

ูَุจِุฃَูŠِّ ุขู„َุงุกِ ุฑَุจِّูƒُู…َุง ุชُูƒَุฐِّุจَุงู† "
“Toh tum apne parwardigaar ki kon kon si naymat ko jhutlao ge?” – Surah Al-Rahmaan

Dil sajde mai mar jaane ko na chaahe, tou aur kia chaahe?

 
[Note-AllahLoveMercy
 Next blog is going to be on "Shaytan se bagawat"
If you want to know my thoughts about this, go here, because when I typed them together with it, it became a really long post, and I wanna keep it simple and raw. I will be eagerly waiting for any sort of constructive criticism and feedback. ๐Ÿ™‚
JazakAllah for making time nd reading it Appreciation matters!]

 Dua Needed BarakAllahu feeq... intresting hai.?๐Ÿ˜Œ]

Ig- @hoorsdiary
Fb- @hoorsdiary
Snap-hoorsdiary
Post editing- @aestheticqueenoart
YouTube- @fairyooofficial
Another page- @qalbehussaini 

Comments

Post a Comment

BinteSayyed ๐Ÿ–ค

Popular posts from this blog

Appreciate ppls..๐Ÿ–ค

Tawakkal Allah wallahu Azeem♥

Mehram (Guardian)✨