Aye Insaan tu jaan ley! O man know this! Part-2
Magar wo ye sab nahi karta… Kabhi tu ne iski waja jaani? Aisa nahi ke tu Uske azaab ke qaabil nahi. Aisa nahi ke tu ne gunaah se khud ko paak rakha hai. Aisa nahi ke tu uski banayi hui hudood Nhi toorta Aisa hargiz nahi ke tu Uski zaroorat hai. Uski tou koi zaroorat nahi, teri kia auqaat? Tere ashraf-ul-makhlooqat hone ne tujhe intekhaab tou diya par shayad ab tera zameer bhi rota hai ke is intekhaab se acha toh bay-zubaan, bay-aqal hona tha- jis neymat ne tujh ko Allah se dour kiya tou us neymat ka wujood hi kyun kar hua? Toh ab jaan ley. Jaan ke teri zaat ab tak kyun qayim hai. Jaan! Jaan ke tere hone ki waahid waja, ALLAH ki Mohabbat hai . Jaan ley, ke Wo tujhse pyaar na karta, tou teri auqaat bhi rait ke aik zarre se barh ke nahi. Par Wo tujhse pyaar kyun karta hai? Jab tere saare ganday khayalat o harkaat se waqif hai tou kese tujhe teri maa se bhi kayi gunah ziada chahta hai? Kyun ke tere paas Tauba hai. Ab di toh ye bhi Us hi zaat ne. Par saath mai is ko apnaane ka ...